Chamak Tujse Paty Hain Sub Pany Waly Lyrics

Chamak tujse paate he sab paane waale,
Mera dil bhi chamka de chamkaane waale.

Barasta nahi dekh kar abre rehmat,
Badon par bhi barsa de barsa ne waale.

Madine ki khitte Khuda tujh ko rakkhe,
Ghareebon faqeeron ke thehraane waale.

Tu zinda he wallah, tu zinda he wallah,
Mere chashme aalam se chup jaane waale.

Me mujrim hu Aaqa, mujhe saath le lo,
Ke raste me he jaa baja thaane waale.

Haram ki zami aur qadam rakh ke chalna,
Areh sar ka moqa he o jaane waale.

Tera khaen tere Ghulamo se uljhe,
He munkir ajab khaane ghurraane waale.

Rahega yuhi, unka charcha rahega,
Pare khaak ho jaaye jal jaane waale.

Raza nafs dushman he dum me na aana,
Kaha tumne dekha he chand raane waale.

Check Also

hasbi rabbi naat

Hasbi rabbi jallallah Lyrics

Hasbi rabbi jallallah Lyrics Hasbi Rabbi Jallallah Mafi Qalbi Ghair ullah Noor e Muhammad Sallallah …